![]() |
| This is image is Zehni o Nafsiyati Masail. |
Title: Muslim Nau-jawaan Nasl Ke
Zehni-o-Nafsiyati Masail aur Islam Ka Roshni Afroz Hal
Topics: Anxiety, Depression, Identity
Crisis
Aaj hum ek aise mauzu par baat karenge jisko
aksar hamare gharo me, hamare mimbaron par, nazar-andaaz kar diya jata hai.
Mental Health. Ji haan, zehni sukoon, dil ka itminaan, aur nafs ki bechaini.
Hamari nau-jawaan nasl aaj ek aisi jang lad rahi hai jo nazar nahi aati, magar
uska dard dil ko cheer deta hai. Anxiety, Depression, Identity Crisis - ye sirf
angrezi ke lafz nahi, ye hamare bachchon ki raaton ki neend aur din ka chain
chheen rahe hain.
1. Tasleem Karna Pehla Qadam Hai
Sabse pehle ye maan lijiye ke zehni bemari
sharm ki baat nahi. Ye imaan ki kamzori nahi. Khud Nabi-e-Akram Sallallahu
Alaihi Wasallam par ek waqt aisa guzra jise "Aam-ul-Huzn" yani gham
ka saal kaha jata hai. Bibi Khadija RA aur Chacha Abu Talib ka inteqal, Taif me
pathar khana - Aap ﷺ ka dil
mubarak bhi ghamgeen hua. Quran me hai "Aur beshak humne insaan ko takleef
me paida kiya"* [Surah Balad 90:4].
To agar aapko ghabrahat hoti hai, dil dooba sa
rehta hai, to aap akelay nahi hain. Iska matlab ye hargiz nahi ke aapka Allah
se rishta kamzor hai. Iska matlab sirf itna hai ke aap insaan hain, aur
aazmaish ka shikar hain.
2. Anxiety: Mustaqbil Ka Be-wajah Khauf Asbab
Asbab:
Hamari behne-bhai raat ko so nahi paate.
"Kal exam ka kya hoga? Shaadi kaise hogi? Naukri milegi ya nahi? Mere
walidain naraaz na ho jayein." Ye mustaqbil ka darr hamare haal ko barbaad
kar deta hai. Social media par dusron ki chamak-damak dekh kar apni zindagi
be-kaar lagne lagti hai.
Islami Basirat:
Allah Subhanahu Wa Ta'ala farmata hai:
"Aur zameen par chalne wala koi jaandaar aisa nahi jiska rizq Allah ke
zimme na ho" [Surah Hud 11:6].
Meri behno, jab tumhara rizq, tumhari saans,
tumhari shaadi, sab Loh-e-Mehfooz me likha ja chuka hai, to phir ye bechaini
kaisi?
ilaj-e-Nabawi ﷺ:
1. Tawakkul Alallah: Asbaab ikhtiyar
karo, mehnat karo, aur natija Allah par chhod do. Ek sahabi ne poocha "Ya
Rasoolallah ﷺ, oont
baandhun ya Allah par bharosa karun?" Aap ﷺ ne farmaya: "Pehle oont baandho, phir tawakkul
karo."
2. Dua-e-Iztirab: Jab dil ghabraye to ye
dua padhiye: "Allahumma inni a'uzu bika minal hammi wal hazan" - Aye
Allah me gham aur pareshani se teri panah mangta hun.
3. Namaz-e-Tahajjud: Raat ke sannate me uth
kar 2 rakat padh lo. Jis Rab ne tumhein raat ko jagaya hai, wo tumhari mushkil
bhi hal karega.
3. Depression: Ek Andheri Surang
Asbab:
Depression sirf "udaas hona" nahi
hai. Ye ek aisi kaifiyat hai jahan insaan ko lagta hai uski zindagi be-maqsad
hai. Kisi cheez me dil nahi lagta. Har waqt thakan, rona, tanhai. Hamari bahut
si behne iska shikar hain magar ghar wale kehte hain "Namaz padho theek ho
jaogi".
Namaz shifa hai, beshak. Magar yaad rahe, Nabi
ﷺ ne dawai se ilaaj karne ka
hukum bhi diya hai.
Quran
Se Shifa:
Jab Nabi ﷺ par 6 mahine tak Wahi naazil na hui to Aap ﷺ ghamgeen ho gaye. Kuffar ne
taane diye "Tumhare Rab ne tumhein chhod diya". Us waqt Allah ne
Surah Ad-Duha naazil farmayi:
"Wa la sowfa yu'teeka Rabbuka
fatarda" - Aur anqareeb tumhara Rab tumhein itna dega ke tum raazi ho
jaoge [93:5].
SubhanAllah! Ye ayat har us shakhs ke liye hai
jo depression me hai. Tumhara Rab tumhein bhoola nahi.
Amli
Qadam:
1. Shukr Ka Register : Roz raat ko 3 nemat likho. Chahe wo saans
lena ho, ya pani peena. Shukr depression ka sabse bada dushman hai.
2. Surah Rehman Ki Tilawat : Subah-shaam suno. Ye dil ki gehrayi tak
sukoon utarti hai.
3. Tanhai Se Niklo: Hazrat Umar RA farmate hain "Tanhai
shaytan ka ghar hai". Achhi suhbat ikhtiyar karo. Kisi naik saheli se baat
karo, walida se dil ki baat keh do.
4. Identity Crisis: "Me Kaun Hun?"
Asbab:
Hamara nau-jawaan poochta hai: "Me TikTok
wala Musalman banu ya Masjid wala? College me liberal banoon ya ghar me
deendaar?" Ye kashmakash rooh ko thaka deti hai. Maghribi tehzeeb kehti
hai "Azadi ye hai ke jo dil chahe karo". Islam kehta hai "Azadi
ye hai ke nafs ki ghulami se nikal jao".
Sahaba-e-Kiraam Se Sabak: Apni Asal Pehchaan
Kaise Paayein?*
Hamare liye behtareen misaal Sahaba RA hain.
Hazrat Salman Farsi RA ko dekho. Iran ke rehne wale, Aatish-parast ghar me
paida hue, phir Isai bane, phir ghalamon ki tarah bik gaye. Itne culture badle,
itne mulk badle. Identity crisis ki inteha thi. Lekin jab Islam mila to
farmaya: *"Salman, Ibn-ul-Islam"* - Salman, Islam ka beta.
Unhone apni pehli pehchaan mita di. Nayi
pehchaan banai: *"Me Allah ka banda hun"*.
Hazrat Bilal RA Habshi ghulam the. Zamana
kehta tha "Teri koi auqaat nahi". Islam ne kaha "Teri awaaz
Jannat me bhi sunayi degi". Aaj duniya me sabse zyada izzat wale naam me
Bilal RA ka naam hai.
Sabak: Tumhara passport, tumhari degree,
tumhara bank balance tumhari pehchaan nahi. Tumhari pehchaan "La ilaha
illallah" hai. Jab ye dil me utar
gayi, to na Maghrib ka complex rahega na Mashriq ka
Tumhara asal naam na fashion blogger hai, na
topper, na influencer. Tumhara asal naam "Abdullah" aur
"Amatullah" hai - Allah ke bande aur bandi.
Quran kehta hai: "Aur maine jinn-o-ins ko
sirf isliye paida kiya ke wo meri ibadat karein"* [Surah Zariyat
51:56].
Ibadat ka matlab sirf namaz nahi. Halal
business karna ibadat hai. Walidain ki khidmat ibadat hai. Ilm hasil karna
ibadat hai.
Nabi ﷺ Tajir bhi the, Sipahi bhi, Shohar bhi, Baap bhi, aur
Imam-ul-Ambiya bhi. Unhone duniya nahi chhodi, duniya ko Allah ke rang me rang
diya.
5. Haraam Ilaj Se Bachiye, bhaiyon Behnon!
Bahut dard hota hai jab sunta hun ke hamari
bachchiyan depression ke naam par haraam kaam kar leti hain.
- Music se sukoon :
Gana bajana dil ko sakht kar deta hai. Iski jagah Quran lagao.
- Haraam Relationships : Koi ladka "support" ke naam par
izzat loot leta hai. Yaad rakho, jo tumse Allah ko naraz karke mile, wo tumhein
kabhi sukoon nahi de sakta.
6. Tajweez ke zariye Ilaz ya Sukoon hasil karna..
Bahut saare Hanafi, Shafi, Maliki ulama kehte
hain ke agar taweez me sirf Quran ki ayat, Allah ke naam, ya Masnoon duayein
likhi hain, aur pehenne wale ka yaqeen ye ho ke *"Asal shifa Allah dega,
ye taweez sirf sabab/zariya hai" to jayaz hai.
Dalil: Hazrat Abdullah bin Amr RA apne chhote
bachchon ke gale me "Auzu bi kalimaatillahi taammati" wala taweez
latkaya karte the [Abu Dawood 3893].
Hazrat Saeed bin Musayyib, Imam Qurtubi RH
jaise bade ulama ne iski ijazat di hai.
Shart: Usme ghair-mahfum lafz, naqsh, ajeeb
number, ya jinnat ke naam na hon. Sirf Quran ho.
*6. Kab Doctor Ke Paas Jayein?*
Meri azeez behno, agar 2 hafte se zyada ye
alamat hain to isme sharm ki koi baat nahi:
- Neend ud jana ya har waqt sona
- Khud ko khatam karne ka khayal aana
- Namaz tak padhne ka dil na karna
- Har waqt rona ya ghussa aana
Ye bemari hai, aur bemari ka ilaaj sunnat hai.
Jis tarah sugar ke liye doctor ke paas jate hain, usi tarah zehni takleef ke
liye psychiatrist ke paas jana jaiz balki zaruri hai. Kisi Muslim female
therapist ko dikha lo.
Yaad rakho:
Dua aur dawai dono zaruri hai. Sirf dua par bharosa karke dawai chhodna,
aur sirf dawai par bharosa karke dua chhodna, dono galat hai.
7. Ghar Walon Ke Naam Paigham
Walidain se guzarish hai: Agar aapka beta/beti kahe "Mujhe
anxiety hai", to ye mat kaho "Nakhre kar raha hai". Usay gale
lagao. Usay suno.
Nabi ﷺ bachchon ke jazbaat ki qadr karte the. Ek martaba Aap ﷺ sajde me the aur Hasan RA
pusht par chadh gaye. Aap ﷺ ne sajda lamba kar diya ke bachche ka dil na toote.
Tumhare bachche ka zehan toota hua hai, usay
jod do. Unhen Taane mat do,i un ko sahara do.
Mere mohtaram walidain, mere mukarram asatiza,
ye hissa khaas aapke liye hai.
Aaj ka nau-jawaan "namaz padho" sun
kar bhagta hai. Kyun? Kyunki humne deen ko sirf dant-dapat bana diya hai.
Nabi ﷺ Ka Tareeqa
Dekhiye:
1. Sunna Pehle, Nasihat Baad Me: Ek nau-jawaan
Aap ﷺ ke paas aaya aur kehne laga
"Mujhe zina ki ijazat de dijiye". Sahaba talwar nikalne lage. Aap ﷺ ne farmaya "Use mere
qareeb lao". Phir us se poocha "Kya tum pasand karoge ke koi tumhari
maa-behen ke saath aisa kare?" Wo bola "Nahi". Aap ﷺ ne seene par haath rakha aur
dua di. Wo seedha ho kar chala gaya.
Sabak: Dantne se pehle uske dil ka haal suno.
2. Comparison Ka Zeher:
Fulan
ke bete ko dekho, 90% laaya hai" - ye jumla depression ki factory hai. Har
bachcha Yusuf nahi hota, koi Yameen bhi hota hai. Sabka apna maqam hai.
3. Jismani Saza Se Parhez: "Maar-kar
seedha kar dunga" - ye tareeqa Nabi ﷺ ka nahi. Aap ﷺ ne 10 saal Hazrat Anas RA ki tarbiyat ki, ek din bhi
"uff" tak nahi kaha.
4. Dua Ka Hathiyaar: Tahajjud me uth kar
apne bachchon ke liye ro kar dua karein. Maa ki dua aur Allah ke arsh ke beech
koi parda nahi.
Yaad rakhiye, aapka bachcha agar psychologist
ke paas jata hai to iska matlab ye nahi aapki tarbiyat me kami hai. Iska matlab
hai use extra madad chahiye. Sharminda mat hon, uska saath dein.
8 . Social Media: Zehni Sukoon Ka Qaatil
Meri behno, aaj sabse bada fitna ye 6 inch ki
screen hai. Subah aankh khulti hai to Instagram, raat ko sote waqt TikTok. Har
2 minute me dusron ki "perfect life" dekh kar apna dil jalta hai.
Masla kya hai?
1. Muqabla Bazi: Falaan Dubai gaya, falaan
ne iPhone le liya, falaan ki shaadi ho gayi. Aur hum? Hum apne kamre me bethe
khud ko kos rahe hain. Yaad rakho, log social media par apni
"Highlights" daalte hain, "Behind the Scenes" nahi. Tum
kisi ki edit ki hui zindagi se apni asli zindagi ka muqabla kar rahe ho.
2. Dopamine Ka Nasha: Har like, har comment par dimagh me khushi ka
chemical nikalta hai. Phir usi nashe ke liye baar baar phone uthate hain. Ye
nasha namaz ka sukoon chheen leta hai. Kyunki namaz me sabr hai, phone me foran
maza.
Islami Hal:
Nabi ﷺ ne farmaya: "Hikmat ki baat momin ki gumshuda cheez
hai". Social media ko hikmat se use karo.
1. Digital Roza: Hafte me 1 din 6 ghante
phone band. Us waqt Quran padho, walidain se baat karo. Dekho dil ko kitna
sukoon milta hai.
2. Unfollow Ka Saaf: Jo account dekh kar
hasad ho, na-ummidi ho, be-hayai ho - foran unfollow karo. Ye tumhare imaan aur
zehen dono ke liye zeher hai.
3. "Ghaflat" Se Bacho: Allah farmata hai
"Aur un logon me se na ho jao jo Allah ko bhool gaye to Allah ne unhein
khud apni jaan se ghafil kar diya"* [Surah Hashr 59:19]. Phone ki ghaflat
me kahin hum khud ko na bhool jayein
9. Raat Ki Tanhai Aur Waswase Ka Ilaj
Bahut se nau-jawaan raat ko 2 baje uth kar
rote hain. Dil doobta hai, ajeeb khayal aate hain, maut ka darr lagta hai. Ye
"Layl" yani raat ki wahshat hai.
*Sunnat Ilaj:*
1. Sone Se Pehle Wuzu: Wuzu shaytan aur
waswason ke liye dhaal hai. Nabi ﷺ ba-wuzu sote the.
2. Ayatul Kursi + 3 Qul: Sone se pehle padh
kar apne upar dam kar lo. Nabi ﷺ ne farmaya jo ye padh le, subah tak Allah ki hifazat me rehta
hai.
3. Agar Neend Na Aaye: Bed par karwat badal
badal kar phone mat chalao. Uth kar 2 rakat "Salat-ul-Haajat" padh lo
aur ro kar Allah se apna haal keh do. Hazrat Ibrahim AS ko aag me daala gaya to
unhone kaha *"Hasbunallahu wa ni'mal wakeel"* - Allah hamare liye
kaafi hai. Aag gulzar ban gayi. Tumhari bechaini bhi sukoon ban jayegi,
InshaAllah. [Bukhari]
Yaad Rakho: Raat kitni bhi kaali ho, Fajr
zaroor aati hai. Tumhari zindagi ki Fajr bhi qareeb hai
Khatima : Urooj Ki Umeed
Meri behno aur bhaiyo, ye duniya imtihaan gah
hai. Yahan takleef aayegi. Lekin hamara Rab farmata hai: "Beshak har mushkil ke saath aasani
hai" [Surah Inshirah 94:6]. Ghaur karo, Allah ne nahi kaha "Mushkil
ke baad aasani hai", kaha "Mushkil ke SAATH aasani hai".
Yaani jis waqt tum depression me ho, usi waqt
kahin na kahin Allah ne tumhare liye aasani bhi rakh di hai. Bas tumhein
dhundhni hai.
Apna Khayal Rakhiye:
1. 5 Waqt Namaz - Ye tumhari therapy hai.
2. Quran Se Dosti - Roz 1 Ruku tarjume se
padho.
3. Wuzu Me Raho- Wuzu zehni bechaini kam karta hai.
4. Sadaqa Do - Sadaqa balaon ko talta hai,
depression bhi ek bala hai.
5. Dua Maango - Tahajjud me ro kar maango.
Allah sunta hai, zarur sunta hai.
Aur aakhri baat: Agar kabhi khud ko khatam
karne ka waswasa aaye to foran kisi apne se baat karein. Kisi bharosemand
aalim, walida, ya doctor ko batayein. Aap ki jaan bahut qeemti hai.
Allah Rabbul Izzat se dua hai ke wo hamari
nau-jawaan nasl ke dilon ko sukoon de, unhein shaytan ke waswason se mehfooz
rakhe, aur unhein Duniya-o-Aakhirat me kamyab kare. Aameen, Ya Rabbal Aalameen.
Wassalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa
Barakatuh.

0 Comments
Thanks for visiting our blog! Feel free to share your opinion and join the discussion.